Oct 13
dhoop ke saath gaya saath nibhane wala
ab kahan ayega vo laut ke aanewala
ret par chhod gaya naqsh hazaaron apne
kisi paagal ki tarah naqsh mitane wala
sabz shaakhen kabhi aise to nahin chiikhti hain
kaun aaya hai parindon ko darane wala
aariz-e-shaam ki surkhi ne kiya faash use
parda-e-abr mein tha aag lagane wala
safar-e-shab ka taqaza hai mere saath raho
dasht purhaul hai toofan hai aanewala
mujhko dar parda sunata raha qissa apna
agle vaqton ki hikayaat sunane wala
shabnami ghaas ghane phool larazti kirnein
kaun aayaa hai khazaanon ko lutane wala
ab to aaraam karein sochti aankhein meri
raat ka aakhri tara bhi hai jane wala
