Mujhe Achha Bahut Laga

Tareef Shayari No Comments

magroor hi sahi mujhe achha bahut laga woh ajnabi to tha magar apna bahut laga woh jis ke dam qadam se thi basti ki ronkein basti ujad gai to woh tanha bahut laga resham pehan kar bhi meri qemat na bad saki khadar bhi us ke jism par mehnga bahut laga mohsein jab aaine mein meri sansein jam gai mujh ko to ..... Read The Full Shayari


Roop Nagar Ki Rani

Tareef Shayari No Comments

Ullhad shuakh jawani hi tum Roop nagar ki rani ho tum Eshq safar ke sehraaoun mein Thanda meetha paani ho tum Mein houn jaltey suraj jesa Aur ek shaam suhaani ho tum Dunya aankhein mal mal dekhey Sar ta pa hairaani ho tum Apney bakht pe naaz karega Jiss raja ki raani ho tum


Teri Adaiyein

Tareef Shayari No Comments

Aankhein hain unki ya hain sharaab ka mehkhana, Dekh kar jinko ho gaya hoon main deewana.

Honth hain unke ya hain koi raseela jaam, Jinke ehsaas ki tamanna mein beeti hai meri har shaam.

Zulfein hain unki ya hain resham ka saaya, Jinki aad mein meri zindagi ka sabse haseen sapna hai khoya.

Kisne Kaha Ke Aap Chand Ka Tukda Ho?

Tareef Shayari No Comments

Kisne kaha ke aap chand ka tukda ho? Galatfaimi mein hai woh! Ye shayar aankhon se nahi dil se dekhta hai, Aap chand ka tukda nahi, Balke chand toh aapka tukda hai

Chehra Apka Chand Sa

Tareef Shayari No Comments

Ek ada aapke dil churane ki, Ek ada aapke dil me bus jane ki, Chehra apka chand sa aur, ek zid hamari chand pane ki

Meray Liyay Kya Hai Tumhari Yaad

Tareef Shayari No Comments

Meray liyay kya hai Tumhari yaad Jaisay bund pinjray ka panchi azad

Meray liyay kya hai tumhara pyar Jaisay khizaan k baad ho Bahaar

Meray liyay kya hein Tumhari aankhein Jism mein aati jaati sansein

Meray liyay kya hai teri awaaz Jaisay dharkanoun key bajtey saaz

Meray liyay kya hai tumhara milna Jaisay ho bund kalliyoun ka khilna

Kitna Haseen

Tareef Shayari No Comments

Kitna Hasin Chaand Sa Chehra Hai Uspe Shabab Ka Rang Gehra Hai Khuda Ko Yakin Na Tha Wafa Pe Tabhi To Ek Chaand Pe Hazaaro Taaro Ka Pehra Hai

Aankhein Hain Tumhari Kisi Hirni Ki Tarah

Tareef Shayari No Comments

Khoobsoorat ho tum kisi phool ki tarah, Aankhein hain tumhari kisi hirni ki tarah.

Chehak hai tum mein kisi chidiya ki, Mehak hai tum mein kisi gulaab ki.

Dua karte hain hum rab se sada, Yoon hi barkarar rahe hamesha tumhari har ADAA.

Tere Mere Milan Ki Kahani Nikale

Tareef Shayari No Comments

Kahi phool, kahi titli, kahi bijli Sari rut teri meri kahani nikle Jab bhi tumhara khyal aaya Mere sanso se khusbu nikale Kahi badal, kahi os, kahi rimjhim barish Sare manjar tere mere kisse nikle Dur ho kar bhi hum kitne paas hai Aaj duri ke us paar hum nikale Kahi chamakata chand, Kahi pato ki sarsarahat Sari ranginiya tere mere milan ki ..... Read The Full Shayari

Aaj Kal Ke Ladkey

Tareef Shayari No Comments

Mana yeh fashion hazar kartey hain Khud ko sawarne ki koshish bekaar kartey hain.

Sakht garmi mein pehan ke ye tight jeans, Lambi tango ki numaish bar bar kartey hain, Ladki ke samney bantey hain yeh nawab, Chahey paoon mein pehni ho phati hui jarab.

Shaadi se pehle kartey hain wadey hazaar, Phir maa ke paloo mein rotey hain zaar zaar.

Kehney ko ..... Read The Full Shayari



.
Terms & Conditions | Privacy Policy ShayariAdda.com: Copyright 2012 All rights reserved Entries RSS Comments RSS