Aaj Aisa Hua Hai

Motivational Shayari No Comments

Mujhe yaad hai woh din jab main bhaage bhaage tumhaare paas aati thee tumhe bataane? ke suno aaj aisa hua ke.

Aur tum hanskar Mere ehsaasaat se bekhabar

Mujhse kehte “phir kabhi bataana abhi zara masroof hoon”

mooh latkaaye chalee jaati thee par intezaar rehta tumhe bataane ka ke aaj aisa hua ke

bewaqoof thee main aur ..... Read The Full Shayari


Raah

Motivational Shayari No Comments

raah mein kaante ek do nahi hote raah kaanton se bhari hoti hai manzil us raah ke akhiri chor par khadi hoti hai

jahan har kadam par milti ek nayi chouti hai dekh use jinke hounsle dagmagaate hain ve manzil ko bhula kaanton mein ulajh jaate hain jinki nigaah manzil par hoti hai ve kaanton pe hi chalkar manzil ko paate hain.


Tufaan

Motivational Shayari No Comments

tufaan ki kami nahi jeevan mein ladte hue safar karna hoga jo milenge zakhm safar-e-rahon mein

unhe hi zindagi ka tajurba kehna hoga laakh zakhm khaane par bhi har zakhm naya hoga tajurba kitna hi kyu na ho har safar naya hoga

Hosley Buland Kar

Motivational Shayari No Comments

Hosley buland kar raaston par chal de, Tujhe tera mukaam mil jayega, Akela tu pehel kar, Kaafila khud bann jayega, Maysoos ho kar na umeedon ka daman chhod, Varna khuda naraz ho jayega, Thokron se na tu ghabra, Har padaav par apne aap ko aur mazboot payega,

Nakamyabi ki dhund se na ghabrana, Kaamyabi ka suraj teri takdeer roshan kar jayega.

Khwaab Zinda Rakh

Motivational Shayari No Comments

agar aankhein teri zinda hai to inn mein khwaab bhi zinda rakh mayoosi le jati hai kufr ki janib hardam ummeed-e-fatah rakh ragon mein jab khoon rawan hai ab tak to koshishein apni rawan rakh na ummeed le jati hai nakaami ke janib

umangein apni jawan rakh.

Usney Kaha

Motivational Shayari No Comments

Usne Kaha Mujhse Kitna Pyaar Hai Maine Kaha Sitaron Ka Koi Shumaar Hai?

Usne Kaha Kaun Tumhe Hai Bahut Azeez Maine Kaha Dil Pe Jiska Ikhtiyaar Hai Usne Kaha Kaunsa Tohfa Hai Pasand? Maine Kaha Wo Shamaa Jo Ab Tak Udhaar Hai Usne Kaha Saath Kahan Tak Nibhaoge? Maine Kaha Jitni Ye Saanson Ki Taar Hai Usne ..... Read The Full Shayari

Salam Kar

Motivational Shayari No Comments

jugnu se andheron ka na yu ahatraam kar suraj ko bulane ka koi intezaam kar

thakne laga hain zindagi ki rahghuzar pe tu kuch der to us ped ke niche mukaam kar

aayega kinaara bhi kya tufaan se aage baithe hain sabhi log yahan dil ko thaam kar

kuchh kar ki jag uthe tera soya hua zameer awaargi ka bazm mein na ..... Read The Full Shayari

Zindagi Mein Sada Muskurate Raho…

Motivational Shayari No Comments

Dard kaisa bhi ho aankh nam na karo, Raat kaali sahi koi gam na karo, Ik sitara bano jagmagatey raho, Zindagi mein sada muskurate raho.

Baantni hai agar bant lo har khushi, Gam na zahir karo tum kisi par kabhi,

Dil ki gehrai mein gam chhupate raho, Zindagi mein sada muskurate raho.

Ashk anmol hain kho na dena kahin, In ki har boond hai ..... Read The Full Shayari

Himmat Karne Vaalon Ki Haar Nahi Hoti

Motivational Shayari No Comments

Lehron se darr kar nauka paar nahi hoti, Himmat karne vaalon ki haar nahi hoti, Nanhi cheenti jab dana lekar chalti hai,

Chadti deewaron par se saw baar fisalti hai, Mann ka vishwaas ragon mein sahas bharta hai, Chadkar girna,girkar chadna naak ragardta hai, Aakhir uski mehnat bekaar nahi hoti, Koshish karne vaalon ki haar nahi hoti!

Dubkiyan samundar mein gotakhor lagata hai, Ja-ja ..... Read The Full Shayari

Jeevan Ki Jung

Motivational Shayari No Comments

Mushkilon mein bhag jana asaan hota hai har pehlu zindagi ka imtihan hota hai darne walon ko kuchh milta nahi zindagi mein aur ladne walon ke kadmon mein jahan hota hai



.
Terms & Conditions | Privacy Policy ShayariAdda.com: Copyright 2012 All rights reserved Entries RSS Comments RSS